Hazrat Abo Bakar sms
Hazrat Abu Baqar Siddiq R.A ne farmaya k:
Maine Rasul Allah (S.A.W9 ko farmatay suna hai k
Jab logon ka ye haal ho jiay k wo burai daikhain aur isay badalnay ki koshish na karain,
zalim ko zulm kartay huay paayain
aur uska hath na pakrain tu qareeb ha k Allah apne azaab main subko lapet le.
Khuda ki Qasam tumko lazim hai k bhalai ka hukam do aur burai se roko.
Warna Allah tum pe aisay logon ko mussallat kar day ga jo tum main
sub se bad-tar hon ge aur wo tumko sakht takleef dain ge.
Phir tumhare naik log khuda se duayain mangain ge magar wo qabul na ho gi.
(Tirmizi 2178, Abu Daud4338)